ek waqt humara bhi ayega

Ek waqt aisa bhi ayega,
jab humari duriya kam hogi,
najdikiya ab se bhi jada hogi,

ek waqt aisa bhi ayega,
jab tum humse khafa Kam hogi,
or muje ab se bhi jada chahogi,

ek waqt aisa bhi ayega,
jab tum meri haumsafar tum hogi,
or muje ab se bhi jada apna manogi,

ek waqt aisa bhi ayega,
jab tum muje apni baho mai paogi,
or muje meri jaan se bhi jada chahogi,

ek waqt aisa bhi ayega,
ek waqt humara bhi ayega,

Comments

Popular posts from this blog

meri subha aisi ho