akhiri kasam

Mai bus mai Beth gya or nikal gaya apne chote se sehar ke liye, gar walo ko bata to diya tha ki mai aa raha hu, lekin raste bhar bas yahi sochta raha pata nai ab kaisi lagti hogi wo, Pata nai ab dur se hi akar Jo gale lagjati thi wo ab lagegi ya nai, pata nai ab chillati hui mujse milegi ya nai, or pata nai ye baton mai kuch achi yado ko sochta raha, sayad kuch ab wo bachpan ki tareh mere sath behte pani mai mere sath apni naow banane ke liye apna muda hua apnna muje degi ya nai, or barish mai kya mere sath ab pehle ki tareh nachegi, kuch aisi hi bate or sayad khud hi man mana kar raha tha, lekin un yado mai dube hue kab gar aa gya pata hi nai pada, mai gar pahuch gya tha, wo nai ayi thi mujse milne, gale nai lagaya tha usne muje jab mai gya tha us tareh mujse gale lagakar aaj nai roye thi, mai use charo taraf dekhte hue gar chala gya, maa bethi uhi thi apni use chair per jis par wo aksar mera itnazaar kiya karti thi mera school se aane ka, muje dekhkar wo khadi hone lagi sayad ab unhe takleef hone lagi thi unthne bethne mai Maine jaldi se unhe Sahara diya kahde hone mai wo muje gale lagane k liye khade hue the, muje gale lagaya or mere dono hantho ki hatheli par unhone muje pehle ki tareh kiss kiya or Maine unhe fir se wahi betha diya or pair chu ke apne room mai apna saman rakhne chala gya, kuch Der baad maane ek awaj lagayi muje bulaya or kaha ki beta paani se pehle hath muh dolo or khana kaho tumhare dal chawal bane h, anshu nikal aye the sun kar Maine jaldi se hath muh doya or kahne Beth gya, maane khana laga diya tha or mai Beth ke sirf yahi sochta raha ki maa ko or baba ko ab apne sath le jau, khana khate waqt maa se or bhi bhaut bate hui kya karte ho kha rehte ho kaise rehte ho sahi se rehna or bhi bhaut sari, achanak maa ne pucha koi kisi ladki se pyar to nai karte ? Mai bas maa ko hi dekh raha tha, Maine na mai sar hilate hue mana kar diya, or jaldi se khana khakar uth gya, or apne us chote se room mai Jakar sab kuch niharne laga, meri almaari ke uper ek flower pot rakha tha ek kanch ka glass or uske Ander do red rose rakhe the, Jo aaj se 10 sal pehle muje kisi ne diya tha, or bhi kuch aisi hi yade or sochta raha, or kab nind aa gayi pata hi nai pada, sham ko 4bje baba aa gaye the ab wo bhi bhaut bhude lagne lage the mai to bas yahi sochta raha ki ye wahi kandhe h jin kando per mai Beth ke doda karta tha kya ye wahi kandhe h,? dil Beth gya tha, undono ko dekh kar, baba ke pair chue Maine or baba ne muje gale laga liya ankhe gili ho gayi thi, or pucha kab aye bete? Maine dire se kapkapate hontho se kha ki bas subha, or kuch keh nai paya mai or wo gar ki taraf chal diye ab baba ki chal bhi kuch ladkhada gayi thi, Maine wahikhade hokar soch liya tha baba maa ko apne sath le jaunga ab, mai bhi gar ke andar Jane laga, piche se muje kisi ne bulaya, awaj kuch jani pehchani si lagi, mai piche muda to ek ladki khadi thi Maine pucha jee aap,? Usne khaha bhul gaye na ? Fir usne yad dilaya kabi tumhara sidha hanth tuta tha,? Mai samaj gya tha ki ye wahi meri bachpan ki dost Jo ab dur rehkar pyar mai badal gya tha pooja hai, pooja rathour, Maine use gale se lagane ki kosis ki usne muje rok diya tha, ye kehkar koi dekh lega, mai ruk gya tha, or Maine use andar ane ko kha wo andar aane lagi tab tak uski maa jinhe mai pyar se mami bulata tha unhone pooja ko bolane ki awaj lagayi wo wahi se wapas ho gayi thi, kuch tha uski ankho mai sayad ek dar kahu ya khuf ya sharm pata nai kya,? ab wo wo purani wali pooja sharati pagal nai rahi thi, jis pooja ko mai janta tha, mai use jate jate dekhta raha wo kabi kabi piche mud kar dekhleti to kabi age bas mai use gar tak dekhta raha, maa andar se ye sab dekh rahi thi, unhone muje awaj laga Di, mai apni ankho ko puchte hue gar ki Taraf chal diya Jo use dekhkar kuch gili ho gayi thi, mai gar mai gya or bachpane ki tareh maa se puchne laga maa pooja kitni badi ho gayi h na? or pehle se achi dekhne bhi lagi h pehle se, ab wo itni sharati bhi nai rahi meri tareh, or maane khaha ha wo badi ho gayi h, thodi gusse se kha, muje laga ki maa nai chahti ki mai usse milu, Maine pucha batao na maa kya baat h,aap kuch chupa re ho mujse, ma ne mana karte hue mai kuch nai chupa ri tujse, Jo khaha h dhyan rakhna bas, do din ho gaye the pooja gar nai aayi thi, Jo subha Sham mere hi gar khelti rehti thi, mai uske itnazaar karta raha lekin wo nai aayi, 3 din baad muje wo dikhayi Di usne muje dekha or Maine usse ishare mai pucha kha ja ri ho? wo peepal ke ped ka ishara karke chali gayi, kuch Der baad mai bhi chala gya, wo wahi thi, jaha usne muje dhkka maar diya tha or mera hanth tut gya tha, wo niche hi khadi thi meri taraf chehra nai tha, Maine uske kandhe par hanth rakha or apni or piche hokar mere gale lag gayi or Jor se pakd liya orrone lagi. Mine use chup karate hue pucha kya hua batao pooja, usne kuch nai kha or mujse dur ho gayi or kehne lagi tum wapas chle jao, Maine use bethaya or pucha kya hua bolo pooja.sayad use bhi mujse pyar hi tha, usne kuch nai bola, or muje chod kar chali gayi,Mai bhi gar aa gya or maa se bola mai pooja se mila tha maa. Wo ro rahi thi. Maa batao muje kya hua use? Maa ne kha tu sun ni payega muje pata h tera dil use pyar karta hai,muje pata hai tu yaha ussi se milne aya hai, or wo pagal tere hi itnazaar kar rahi h jab se tu gya h tab se wo to tera hi itnazaar kar rahi h, wo tujse pyar karti h, or itna maa kehte kehte rone lagi thi, Maine maa ko gale lagaya or chup karaya, maane kha 1sal pehle ki baat h uska rape hue,sayad muje laga ki Maine kuch sahi nai suna Maine kha kya! Maa ne fir kha ha beta uska 1sal pehle kuch gundo ne uska rape kiya tha, tab se wo bejan si ho gayi h gar se kam nikalti h wo..dil Beth gya tha sun kar, kuch sunai nai de raha tha, mai wahi darwaje ki chokat par ja Ker Beth gya tha, ankho se anshu nikal rahe the or bas uski yaad karke roye ja raha tha, or gali ki taraf dekh raha tha, maa paas ayi or anshu poche or kha beta usse shadi karoge? Maine kha ha ma mai usse shadi karunga..or mai khada hua or uske gar ki taraf bhag kar Jane laga sayad jaldi mai apni chappal pehn na bhul gya tha,mai uske gar ke paas pahucha to bhaut bheed or log khade the uske gar ke paas. Or log apne mai bate kar rahe the...or ek police ki zeep bhi khadi thi, Maine jaldi se bheed mai rasta banaya or gar mai Jane laga, police ne gar apni no entry ke lal or safed patti se band kar diya tha, sirf gar ke log andar the, Maine police se kha mai bhi isi gar ka hu to muje andar Jane diya, mami roo rahi thi muje samjte Der na lagi ki pooja ab nai rahi:( pooja ke room mai gya to dekha bed par mere hi favrt clour mehrrom rang ka sut pehne leti hui h, or bed se niche uska ek hanth tha jiske niche bhaut Sara khoon pada tha, or uski badi badi khuli hui ankhe, Maine bhagkar uske bed par gya or uska sar uthaya or apne gutne pe rakh liya, aisa laga ki wo muje dekhne kahi itnazaar kar rahi ho or pooja ne apni ankhe band karli ho jaise muje hi dekh kar,mai sanse to le raha tha sayad uski jaan ke sath meri jaan chali gayi ho, police uski body postmartam ke liye safed cover mai lejane lagi,
mai bed se utar kar deewar se sar laga kar bas rota raha or apne ladkhadate kadmo ko apne gar ki or chal diya tha, or ek din baad uski body mili to report mai pata pada ye suicide kiya tha, mai bejan ke tareh apni jane ki packing karne laga dil tut chuka tha or mai mar chuka tha, maa ne kha abhi ruk jao beta, wo to tumhe pehle hi tumhe apna pati chuki thi, mai ruk gya or mami se milne chala gya, mami se pucha kya ye sab kaise hua, mami ne kuch nai kaha bas ek panna Jo muda hua rakha tha ek letter ki tareh, unhone muje nikal ke pakda diya,jismai ussi pagal ladki ki likhawat thi hamesha se uski likhawat mujse achi rahi thi, wo khubsurat ghume ghume se shabd us ki likhawat thi,usne sayad mere liye kuch pehli baar ya aakhiri baar kuch likha tha,usmai likha tha ki- mujse pata h aap mujse pyar karte ho or sayad hamesha karte rahoge muje pata h aapko ek din mere bare pata chal jayega tab bhi aap muje apna bana loge, or muje hamesha ek anjan bankar pyar bhi karte rahoge, lekin sayad ye duniya tumhe ijjat se na jine de, isliye mai ye duniya ab chod kar jaa rahi hu, qunki mai tumhare siva kisi or ki nai ho sakti or meri body ko apni wife samj kar muje shadi ke jode mai hi vida karna or meri maang bhari jane dena or muje aag aap hi dena apko meri kasam..meri akhiri kasam puri karoge na?...niche likha tha-
apki pyari
pooja.
bas itni si kahani thi meri kahani

Comments

Popular posts from this blog

meri subha aisi ho