akhiri mulakat

teri bina hui Jo ye jindagi virani,
to ismai tumhe kyun hui hairani,
tumhare us akhiri mulakat ki kya baat karu,

pata ni qu nai bhul pata,
teri un yaado ko,
pata ni qu ni bhul pata,
un sab baton ko,..
Mai un akhiri baton ki,
ab kya baat Karu.

Teri yaado mai kuch baat to h,
teri un baton mai kuch baat to h,
bhulkar bhi nai bhula pata jise,
uski mai kya baat karu,

sath guzre un suhane Palo ko,
ab kya yaad karu,
tere beethe kal ki,
kya baat karu,
us beete kal ko kya,
ab yaad karu,

tuje meri yaad sayad na ati ho,
sayad meri baat kuch purani ho,
ab un purani baato ko kya yaad karu,

tera Har vada aaj bhi yad kiye betha hu,
apne dil mai tumhe basaye betha hu,
ab us dil ki kya baat karu,

sath dekhe sapno ko sayad tum bhul gayi ho,
kuch sathi apno ko tum sayad bhul gayi ho,
un apno mai ab apni ginti kya karu,
ab us akhiri mulakat ki kya baat karu.

Comments

Popular posts from this blog

meri subha aisi ho